Thursday, 27 September 2012

SHRI SAI BAAVNI

SHRI SAI BAAVNI

(1)Jai Ishwar Jai Sai Dayaal, Tu hi jagat ka palanhar

(2)Dutt digambar prabhu avatar, Tere bas mein sab sansaar

(3)Brahmchyut Shankar avatar, Sharnaagat ka praandhaar

(4)Darshan de do prabhu mere, Mitaa do chaurasi phere

(5)Kafni teri ek saaya, Jholi kaandhe latkaya

(6)Neem taley tu prakat gaya, Fakeer ban ke tu aaya

(7)Kalyug mein avatar liya, Patit paavan tune kiya

(8)Shirdi gaaon mein vaas kiya, Logo ke mann lubha liya

(9)Chilam thi shobha haatho ki, Bansi jaise mohan ki

(10)Dayaa bhari thi aankho mein, Amrit dhaara baato mein

(11)Dhanya dwaarka wo maai, Samaa gaye jahan sai

(12)Jal jaata hai paap wahan, Baba ki hai dhuni jahan

(13)Bhoola bhatka main anjaan, de mujhko tera vardaan

(14)Karunasindhu prabhu mere, laakho baithe dar pet tere

(15)Agnihotri shastri ko, chamatkaar tune dikhlaya

(16)Jeevandaan shaama paaya, zahar saanp ka utraaya

(17)Pralaykaal ko rok liya, bhakto ko bhaya mukta kiya

(18)Mahaa maari benaam kiya, Shirdi puri ko bacha liya

(19)Pranaam tujhko mere eesh, charno mein tere mera sheesh

(20)Mann ki aas poori karo, bhava sagar se paar karo

(21)Bhakt bheemaji tha bimar, kar baitha tha sau upchaar

(22)Dhanya sai ki pavitra udi, mit gayi uski shaya vyaadhi

(23)Dikhlaya tune vitthal roop, kakaji ko swayam swaroop

(24)Daamu ko santaan diya, mann uska santusht kiya

(25)Kripanidhi ab kripa karo, deen dayalu dayaa karo

(26)Tann mann dhann arpan tujhko, de do sadgati prabhu mujhko

(27)Megha tujhko na jana tha, muslim tujhko mana tha

(28)Swayam tu ban ke shiv Shankar, bana diya usko kinkar

(29)Roshnaayi ki chiragon se, teil ke badle paani se

(30)Jisne dekha aankho haal, haal hua uska behaal

(31)Chaand bhai tha uljhan mein, ghode ke kaaran mann mein

(32)Sai ne ki aisi kripa, ghoda phir se wo paa saka

(33)Shradha saburi mann mein rakho, sai sai naam rato

(34)Poori hogi mann ki aas, kar lo sai ka nij dhyaas

(35)Jaan ke khatra taatya ka, daan di apni aayu ka

(36)Rinn bayaja ka chukka diya, tune sai kamaal kiya

(37)Pashu pakshi par teri lagan, pyaar mein tut ha unke magan

(38)Sab par teri raham nazar, lete sabki khud hi khabar

(39)Sharan mein teri jo aaya, tune usko apnaya

(40)Diye hain tune gyarah vachan, bhakto ke prati lekar aan

(41)Kan kan mein tu hai bhagwan, teri leela shakti mahaan

(42)Kaise karun tere gungaan, budhiheen main hoon naadan

(43)Deen dayalu tum data, ham sabka tu hai traata

(44)Kripa karo ab sai mere, charno mein le lo tere

(45)Subah shaam sai ka dhyaan, sai leela ke gungaan

(46)Dridh bhakti se jo gaayega, param pad ko wah paayega

(47)Har din subah aur shaam ko, gaaye sai baavni ko

(48)Sai dega usko saath, lekar apne haath mein haath

(49)Anubhav tripti ke ye bol, shabd bade hain ye anmol

(50)Yakeen jisne maan liya, jeevan usne safal kiya

(51)Sai shakti viraat swaroop, manmohak sai ka roop

(52)Gaur se dekho tum bhai, bolo jai sadgru sai

~~~~~~~~Sathguru Sainath Maharaj Ki Jai ~~~~~~~

2 comments: